Tabhi announcement huyi ki hum Lahoremain hain. Ab flight land hone waali hai. Maine jhat neeche dekha. India se alag to nahin tha. Khet hi khet the. Kahin Lahore Punjab ka gaon to nahin, maine socha.
Dheere dheere khatkhatati huyi flight land ho hi gayi. Alaama iqbal airport. Mujhe sirf iqbal clearly samjah main aaya. Hum sab flight se bahar nikle. Baingani air hostesses ab bhi nahin muskurayin.
Rony ne kaha ki apna letter sambhaal ke rakhan aur visa form bahar nikal lo. Waha bhi immigration check ho gaya. Phir do na muskurane wali aurtein thi. Who pista green colour waali khoobsoorat baala dubaara nahin dikhi.
Wahn se hum luggage collect karne ke liye khade ho gaye.
Luggae trolley par daal kar nikal hi rahe the ki ek officer ne humein rok kar poocha ki kahan se aa rahe hain, luggage check karvaaiye. Rony ne kahan ki we are on a scholarship at BNU aur phat se letter dikaha diya. Officer ne badi khushi khushi kaha oh ho ho good good. Welcome.
Rony ke paas kuchh Pakistani rupaye the, who porter ko de diya gay. Haalaanki koi khaas madad nahin ki thi usne.
Ab tak airport ki hi gandh thi meri naak main. Main vyakul ho rahi thi yeh jaan ne ke liye ki Pakistan ki gandh kaisi hai. Airport se bahar nikle. Rony ne bataaya tha ki humein receive karne college se koi aayega. Rony ne kisi ko pehchaana. Maine rony ke kandhe ke peeche se jhaanka. Daadhidaar aadmi tha. Kya main bhi unse haath mila sakti hoon. Maine aadatan namaste kiya. Unhone khud hi haath baraaya. Arre wah, daadhidaar admiyon se haath milaya ja sakta hai. Phir muh lagaa ki shayd yeh unke training ka hissa hai. Fiannly main Lahore ki zameen par thi. Ek gehri saans li.
Ahaa!!! Yeh to bilkul waisi hi hai jaisi manto ki Lahore ki baatein parhte waqt aati hai. Ab main khush thi. Manto mere saath the. Main ab manto ki jagah par thi. Maine Mumbai se pyaar kiya hai njaise Manto karte the aur main Lahore se bhi pyaar karoongi, jaise Manto ne kiya tha.
1 comment:
I just gave my BNU interview today, hope to see you there! :)
Post a Comment