Colaba kahan jaaogi?
Colaba, taj ke peechhe
Nariman point se yahan bhaag kar aaya, to colaba ki savari mil gayi
Ji?
Nariman point se aaya hoon, colaba ki savari mil gayi, who bhi who aage waala tumko jawab de diya, warna usime jaati
ji
Wahin naukri karti ho?
Ji
Hotel main?
Nahin who drawing ki gallery hoti hai na wahan, taja ke peechhe hi hai.
Achha, likhayi parhayi ka tumhara kaam hai?
Ji
Yahan to dono wakat ko kaam karma hi parta hai
Ji ji
Kahan se aati ho?
Main? Goergaon
Oh ho ho, badi door se, o baba, bada risk ka zindagi hai bambai
Woh to hai
Mehnat bina yahan kuchh hai hi nahin, mehnat karo tab bhi kam hi milta hai.
Sahi baat hai
Yahan to aurat mard dono ko kaam karma partaa hai
Ji, aur aurat ke kaam na karne ka koi kaaran bhi to nahin hai yahan, saari sahooliyatein hain
Haan, aur koi raat main aane jaane main koi kya kar lega. Zyaada se zyaada koi ladki hogi to chhedkhaani karega, us se zyaada who kuchh nahin kar sakta.
Aare bhai timepass karna hota hai un sabko aur kuchh nahin. Arre who hai, kisis ki hai to hai, tum kyun apna waqt barbad karte ho.
Aur pehnaava bambayi ka aisa khaas hai. Kapde itne chust hote hain , ki badan par fabte hain, to ladke bolte hain, ohhhh kya cheez hai!!!!
Kitne bachche hain tumhare?
Arre, meri abhi shaadi nahin huyi hai
Bura mat man na, aise hi main pooch diya. Shaadi kar lo. Umar ho gayi hai. Har cheez ki ek umar hoti hai. Sahi waqt par shaadi bhi ho jaani chahiye
Sahi baat hai, lekin ghar bhi to hona chahiye na
Arre to jis se shaadi karogi kya uske ghar nahin hoga? Bhagwaan ka diya tumhare maa-baap ke paas itna nahin ki tumhe apne hi ghar main rakh lein. Shaadi ka ghar se kya tallukh? Shaadi kar lo beta. Aur phir bas yahi das-barah saal hain jawani ke, Phir to bas jhinni bajaate rehna.
App kahan ke hain
Main Lucknow ka. Arre aaj mil gaye hain, kal nahin milenge.
Woh to main 4 mahine se yahan aa rahi hoo, roz taxi leti hoo, kabhi dubara wahi taxi nahin mili hai.
Yahan to bhai waisa hi hai.
Lucknow ghoomne ka mera bahut man hai
Zaroor aao, lucknow bahut khoobsoorat jagah hai. Wahan bhed bhav nahin nahin. Aur boli itni achhi ki wahan ek baar jaaogi to man nahin karega aane ka. Yahn ki to boli hi ulti hai.
Bas yahan right se le lijiye
To shaadi kar lo, phir jaao ghoomne, lekin shauhar jaane dega?
Usko saath le loongi. Saath jaanyege
Haan sahi baat hai, saath jaana. Parahyi khatam ho gayi hai, naukri bhi kar rahi ho, bas apni pasad ka ladka bhi dhoondh lo.
Yahin rok dijiye, aage poora jam hai.
Nahin saaf ho raha hai, ab yahan tak aa gaye to pahuncha hi deta hoon.
Bas yahain left main lagaa dijiye
Chalo, apna khayal rakhna. Shaadi kar lena beta, bas jawani kid as baraah saal aur. Umar hoti jaa rahi hai na.
Wednesday, 22 July 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
दइया रे दइया...ग़ज़ब टैक्सी वाला...बिना मांगे ही कितनी सलाहें दे गया...वैसे, आपने भी मज़े-मज़े में ये संवाद लिख डाला...स्त्री सामर्थ्य, संघर्ष, जीवन-जद्दोजहद, बराबरी और देह को लेकर कितनी गूढ़ बातचीत...जो बिटवीन द लाइंस चलती है...अच्छा पीस लिखा..बधाई.
Post a Comment